Shaan E Ramzan Lyrics

Shaan E Ramzan Lyrics

 

 

Shaan E Ramzan Lyrics

 

Shaan E Ramzan…   Shaan E Ramzan…

 

Shaan E Ramzan…   Shaan E Ramzan…

 

 

 

Ramzan Ke Maheene Ka Ehsaan Utha K Dekh…

 

Jo Kuch Kaha Allah Ne Usko Nibha K Dekh!!!

 

 

 

Shaan E Ramzan…   Shaan E Ramzan…

 

Shaan E Ramzan…   Shaan E Ramzan…

 

 

 

Milta Hai Kya Namaaz Mein Sajde Mein Jaake Dekh…

 

Allah K Huzoor Mein Sar Ko Jhuka K Dekh…

 

 

 

Ramzan Hai Imaan Hai Momin Ki Jaan Hai…

 

Hum Sab Ka Ye Mehmaan Hai Ye Rab Ki Shaan Hai!!!

 

 

 

Rehmat K Ek Qatre We Sab Kuch Badal Gya…

 

Insaan Girte Girte Bhi Kaisa Sambhal Gya!!!

 

 

 

 

 

Jo Chahega Wo Payega Usko Mna K Dwkh!!!

 

Ramzan K Maheene Ka Ehsaan Utha K Dekh!!!

 

 

 

Shaan E Ramzan Lyrics

Shaan E Ramzan…   Shaan E Ramzan…

 

Shaan E Ramzan…   Shaan E Ramzan…

 

 

 

Waqif Ilahi Khub Hai Saari Khataoon Se…

 

Razi Ho Jayega Wo Har Ek Dilki Aahoon Se!!!

 

 

 

Har Lamha Barkatoon Mein Hua Saath Saath Hai…

 

Wo Saath Saath Bhi Hai Ata Saath Saath Hai!!!

 

 

 

Bakhshega Wo Allah Hai Tu Daaman Phela K Dekh!!!

 

Ramzan K Maheene Ka Ehsaan Utha K Dekh!!!

 

 

 

Shaan E Ramzan…   Shaan E Ramzan…

 

Shaan E Ramzan…   Shaan E Ramzan…

 

 

 

Shor-E-Mah-E-Nau Sun Kar Tujh Tak Main Dawaan Aaya

 

 

Shor-E-Mah-E-Nau Sun Kar Tujh Tak Main Dawaan Aaya

 

Saqi Main Tere Sadqay, Mai Day, Ramzan Aaya!

 

 

 

Is Gul Kay Siwa Har Phool Baagosh Giraan Aaya

 

Dekhe Hi Gee Ay Bulbul Jab Waqt-E-Faghaan Aaya

 

 

 

Jab Baam-E-Tajjali Par Woh Naiyyar-E-Jaan Aaya

 

Sar Thaa Jo Gira Jhuk Kar, Dil Thaa Jo Tapaan Aaya

 

 

 

Jannat Ko Haram Samjha Aatay To Yahaan Aaya

 

Ab Tak Kay Har Aik Ka Munh Kehta Hoon Kahaan Aaya?

 

 

 

Taiyyiba Ke Siwa Sab Baagh Paamaal-E-Fanaa Hongay

 

Dekho Gay Chaman Walo Jab Ahd-E-Khizaan Aaya!

 

 

 

Shor-E-Mah-E-Nau

 

 

Sar Aur Woh Sang-E-Dar, Aankh Aur Woh Bazm-E-Noor

 

Zaalim Ko Watan Ka Dhyaan Aaya To Kahaan Aaya

 

 

 

Kuchh Naat Ke Tabqay Ka Aalam Hi Niraala Hai

 

Sakta Mein Paree Hai `Aql,Chakkar Mein Gumaan Aaya!

 

 

 

Jalti Thi Zameen Kaisee Thi, Dhoop Karee Kaisee

 

Lo, Woh Qad-E-Bay-Saaya Ab Saaya-Kinaan Aaya!

 

 

 

Taiyyiba Se Hum Aatay Hain Kehiye To Jinaan Waalo

 

Kya Dekh Kar Jeeta Hai Jo Waan Se Yahan Aaya!

 

 

 

Lay Tawq-E-Alam Say Ab Aazaad Ho Ay Qumri

 

Chitthee Liye Bakhshish Ki Woh Sarwar Rawaan Aaya

 

 

 

Naama Say Raza Kay Ab Mit Buray Kaamo

 

Dekh Meray Pallah Par Woh Acchay Mian Aaya

 

 

 

Badkaar Raza Khush Ho Bad Kaam Bhalay Hongay

 

Woh Acchay Mian Pyaara Acchon Ka Miyaan Aaya!

 

 

 

Ramzan Aa Gaya

 

 

“Shukr-E-Khuda Kro

 

Mahe Rahman Aa Gaya

 

Taqseem Karne Naimatein

 

Ramzan Aa Gaya”

 

 

 

Allah Tera Hai Ehsaan

 

Rooze Namazein Aur Quraan

 

Hai Yeh Sab Rooh-E-Emaan

 

Noor E Ramzan

 

Noor E Ramzan

 

Noor E Ramzan

 

Noor E Ramzaaaaan

 

Noor E Ramzan

 

Noor E Ramzan

 

 

 

“Illm Mashroot Hai Amal Se

 

Par Yeh Hasil Hota Hai Jab

 

Koshish Ki Jaye Dil Se”

 

 

 

Illm O Adab Sikhlayein Ge

 

Deen E Khuda Phelayien Ge

 

Masjid Mein Bhi Jayein Ge

 

Hamd-O-Naat Sunayein Ge

 

Allah Tera Hai Ehsaan

 

Tune Badhadi Sab Ki Shaan

 

Aaya Hai Ban Ke Mehmaan

 

Noor E Ramzan

 

Noor E Ramzan

 

Nooe E Ramzaaaan

 

Nooor E Ramzan

 

Noor E Ramzan

 

Noor E Ramzan

 

 

 

“Deen E Islaam Muhabbat Ka Payaam

 

Allah Ka Inaam Khaliq Ka Hai Paighaam”

 

 

 

Kaisi Hawa E Ishq Chali

 

Khatm Huwi Nafrat Dil Ki

 

Baant Rahe Hain Pyaar Sabhi

 

Sehri Ho Ya Aftari

 

Allah Tera Hai Ehsaan

 

Ek Huwe Saare Insaan

 

Saaj Gaya Ghar Ghaar Dastaar Khuwaan

 

Noor E Ramzan

 

Noor E Ramzan

 

Noor E Ramzan

 

Noor E Ramzan

 

Noor E Ramzan

 

Noor ERamzan

 

 

 

Meri Khatir Khuda

 

Tune Kiya Kya Kiya

 

Tune Khushiyon Se Daaman

 

Mera Bhar Diya

 

Auur Badle Mein Maine

 

Tujhe Kiya Diya

 

In Gunaahon Pe Dil

 

Ro Raha Hai Mera

 

Maine Maan Baap Ka

 

Haq Adaa Na Kiya

 

Tere Bandon Ka Dil Bhi

 

Dukhaya Badha

 

Na Hi Khairaat Ki

 

Na Hi Sadqa Diya

 

Sirf Apne Hi Baare Mein

 

Soocha Kiya

 

Na Namaazein Parheen

 

Na Hi Roza Rakha

 

Aur Ibadaat Ka Haq

 

Adaa Na Huwa

 

Phir Bhi Tune Karaam

 

Apna Jaari Rakha

 

Tu Sakhhi Hai Bada

 

Tu Sakhhi Hai Baadaa

 

Main Pash-E-Maan Hun

 

Rehem Kar De Khuda

 

Rehem Kar De Khuda

 

Rehem Kar De Khuda

 

Mahe Rahman Aa Gaya

 

Hai Yeh Bakhshish Ka Samaan

 

Sajde Mein Hai Har Insaan

 

Kiya Sajjaad Auur Kiya Farhaan

 

Noor E Ramzan

 

Noor E Ramzan

 

Noor E Ramzan

 

Noor E Ramzan

 

Noor E Ramzan

 

Noor E Ramzan

 

Noor E Ramzan

Sharing Is Caring:

Leave a Comment