Tajdar-E-Haram Salla Llahu Alayhi Wa Sallam Ke Azeem Mo’jazaat Aur Shaan Par Likhi Gayi Yeh Ek Nihayat Hi Mashhoor Aur Iman-Afroz Naat Sharif Hai. Is Barkat Bhare Kalam Mein Mohammad Ajmal Sahab Ne Hazoor Ke Lafzon Ki Taaqat Aur Mo’jazo Ko Behad Khubsurat Lafzon Mein Piroya Hai. Aaiye Is Ruhani Naat Ke Mukammal Lyrics Roman, Hindi Aur Urdu Mein Mulahiza Farmayein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Mo’jza Mere Nabi Ka Keh Diya To Ho Gaya |
| Poet / Writer | Mohammed Ajmal |
| Category | Urdu Naat Sharif |
| Naatkhawan / Reciter | Al-Haj Owais Raza Qadri |
| Book Name | Barkate Raza Naat Book |
Mo’jza Mere Nabi Ka Keh Diya To Ho Gaya Lyrics In Roman
Mo’jza Mere Nabi Ka Keh Diya To Ho Gaya
Aap Ne Qatre Ko Darya Keh Diya To Ho Gaya
Haath Mein Talwaar Le Kar Aaye Jab Hazrat Umar
Aa Mere Daaman Mein Aaja Keh Diya To Ho Gaya
Aabdeeda The Ba-Waqt-E-Asr Jab Hazrat Ali
Doobe Sooraj Ko Nikal Ja Keh Diya To Ho Gaya
Masjide-Nabavi Mein Ghar Se Aap Ke Mimbar Talak
Aap Ne Jannat Ka Tukda Keh Diya To Ho Gaya
Mustafa Se Hai Khuda Ko Pyaar Kitna Dekhiye
Khaana-E-Kaaba Ko Qibla Keh Diya To Ho Gaya
Naam Le Kar Mustafa Ka Haath Mein Le Kar Kalaam
Maine Ajmal Ek Qaseeda Keh Diya To Ho Gaya
Mo’jza Mere Nabi Ka Keh Diya To Ho Gaya Lyrics In Hindi
मो’जज़ा मेरे नबी का कह दिया तो हो गया
आप ने क़तरे को दरिया कह दिया तो हो गया
हाथ में तलवार ले कर आए जब हज़रत उमर
आ मेरे दामन में आजा कह दिया तो हो गया
आबदीदा थे ब-वक़्ते-अस्र जब हज़रत अली
डूबे सूरज को ‘निकल जा’ कह दिया तो हो गया
मस्जिदे-नबवी में घर से आप के मिम्बर तलक
आप ने जन्नत का टुकड़ा कह दिया तो हो गया
मुस्तफ़ा से है ख़ुदा को प्यार कितना देखिये
ख़ाना-ए-काबा को क़िब्ला कह दिया तो हो गया
नाम ले कर मुस्तफ़ा का, हाथ में ले कर कलाम
मैंने अजमल इक क़सीदा कह दिया तो हो गया
Mo’jza Mere Nabi Ka Keh Diya To Ho Gaya Lyrics In Urdu
مُعجزہ میرے نبی کا کہہ دیا تو ہو گیا
آپ نے قطرے کو دریا کہہ دیا تو ہو گیا
ہاتھ میں تلوار لے کر آئے جب حضرت عمر
آ میرے دامن میں آجا کہہ دیا تو ہو گیا
آب دیدہ تھے بوقتِ عصر جب حضرت علی
ڈوبے سورج کو ”نکل جا“ کہہ دیا تو ہو گیا
مسجدِ نبوی میں گھر سے آپ کے منبر تلک
آپ نے جنت کا ٹکڑا کہہ دیا تو ہو گیا
مصطفیٰ سے ہے خدا کو پیار کتنا دیکھیے
خانۂ کعبہ کو قبلہ کہہ دیا تو ہو گیا
نام لے کر مصطفیٰ کا، ہاتھ میں لے کر کلام
میں نے اجملؔ اک قصیدہ کہہ دیا تو ہو گیا