Mere Baghdaadi Ghausul Anaam || Barkate Raza


Mere Baghdaadi Ghausul Anaam Ek Nihayat Hi Maqbool Aur Purasar Manqabat-E-Paak Hai Jis Me Huzoor Ghaus-E-Azam Ki Shaan Aur Unki Wilayat Ka Behad Khubsurat Zikr Hai. Is Khoobsurat Kalam Ko Aqeedat Ke Saath Ghaus-E-Azam Ke Mureedeen Aur Chahne Wale Bade Shauq Se Padhte Hain.

Naat InformationDetails
Naat TitleMere Baghdaadi Ghausul Anaam
Poet / WriterUnknown
CategoryManqabat e Ghaus-e-Azam
Naatkhawan / ReciterOwais Raza Qadri
Book NameBarkate Raza Naat Book

Mere Baghdaadi Ghausul Anaam Lyrics In Roman

Mere Baghdaadi Ghausul Anaam
Woh Hai Mere Aaqa, May(N) Un Ka Ghulaam

Chahite Khuda Aur Rasoole Zaman Ke
Haqiqat Mei(N) Hai Laadle Panjatan Ke

Hai Kul Auliya Ke Wahi To Imaam
Badi Shaan Waale Mere Ghausul A’naam

Chiraaghe Vilaayat, Waliye Mukarram
Karaamat Ki Shohrat Zamaane Mei(N) Aam

Baat Aisi Waliyo(N) Mei(N), Nahi(N) Hai Kisi Ki
Buland Aisi Hai Ghausul A’zam Ki Hasti

Har Simat Machi Hai, Unhi Ki Dhoom-Dhaam
Ghaus Ke Hi Ke Kaandhe Par Qadam Hai Nabi Ke

Qadam Ghaus Ke, Kaandhe Par Har Wali Ke
Yeh Hai Un Ka Rutba, Yeh Aala Maqaam

Qaadri Maikhaana Aur Ghaus Mere Saaqi
Kaise Rahegi Phir Meri Rooh Pyaasi

Ma’arifat Ka Mujh Ko Wohi Dei(N) Jaam
Dil Se Unhe Ek Baar, Jis Ne Pukaara

Us Ko Mila Allah Ke, Karam Ka Sahaara
Sab Pe Tajalli Hai Yehi Subho Shaam

Mere Baghdaadi Ghausul Anaam Lyrics In Hindi

मेरे बग़दादी ग़ौसुल अनाम
वो हैं मेरे आक़ा, मैं उनका ग़ुलाम

चाहिते ख़ुदा और रसूल-ए-ज़मन के
हक़ीक़त में हैं लाडले पंजतन के

हैं कुल औलिया के वही तो इमाम
बड़ी शान वाले मेरे ग़ौसुल अनाम

चिराग़-ए-विलायत, वली-ए-मुकर्रम
करामत की शोहरत ज़माने में आम

बात ऐसी वलियों में, नहीं है किसी की
बुलंद ऐसी है ग़ौसुल आज़म की हस्ती

हर सिम्त मची है, उन्हीं की धूम-धाम
ग़ौस के ही के काँधे पर क़दम है नबी के

क़दम ग़ौस के, काँधे पर हर वली के
ये है उनका रुतबा, ये आला मक़ाम

क़ादरी मैख़ाना और ग़ौस मेरे साक़ी
कैसे रहेगी फिर मेरी रूह प्यासी

मा’रिफ़त का मुझको वही दें जाम
दिल से उन्हें एक बार, जिसने पुकारा

उसको मिला अल्लाह के, करम का सहारा
सब पे तजल्ली है यही सुब्ह-ओ-शाम

Mere Baghdaadi Ghausul Anaam Lyrics In Urdu

میرے بغدادی غوثِ الانام
وہ ہیں میرے آقا، میں ان کا غلام

چاہیتے خدا اور رسولِ زمن کے
حقیقت میں ہیں لاڈلے پنجتن کے

ہیں کل اولیاء کے وہی تو امام
بڑی شان والے میرے غوثِ الانام

چراغِ ولایت، ولیِ مکرم
کرامت کی شہرت زمانے میں عام

بات ایسی ولیوں میں، نہیں ہے کسی کی
بلند ایسی ہے غوثِ اعظم کی ہستی

ہر سمت مچی ہے، انہی کی دھوم دھام
غوث کے ہی کے کاندھے پر قدم ہے نبی کے

قدم غوث کے، کاندھے پر ہر ولی کے
یہ ہے ان کا رتبہ، یہ اعلیٰ مقام

قادری مے خانہ اور غوث میرے ساقی
کیسے رہے گی پھر میری روح پیاسی

معرفت کا مجھ کو وہی دیں جام
دل سے انہیں ایک بار، جس نے پکارا

اس کو ملا اللہ کے، کرم کا سہارا
سب پہ تجلی ہے یہی صبح و شام

Leave a Comment