Wo Din Aayega Ek Baar Mein Madine Jaunga Lyrics

Wo Din Aayega Ek Baar Mein Madine Jaunga Lyrics

 

 

Wo din aayega ek baar mein madine jaunga
Karne roze ka deedar mein madine jaunga

Shahe madina rehmate alam nabiyon ke sardar
Dekhen kab dikhlayen apna noorani darbar
Mein to hun kabse tayyar mein madine jaunga

Wo din aayega ek baar mein madine jaunga

Mujko yakeen hai karam karenge aamena bi ke laal
Unko to malum hai lillah mere dil ka haal
Kehte hein ye dil ke taar mein madine jaunga

Wo din aayega ek baar mein madine jaunga

Dekha nahin unka dare akdas kya hoga anjaam
Mere dil ki dhadkan mujko deti hai paygam
Marne se pahele ek baar mein madine jaunga

Wo din aayega ek baar mein madine jaunga

Dekh ke muj aaseen ko unko aa jayega pyar
Noorani chadar mein chhupa lenge is dam sarkar
Lekar jab ashkon ke haar mein madine jaunga

Wo din aayega ek baar mein madine jaunga

Kya gham hai ke jakde hue hai doori ki zanjeer
Mil jayegi mujko mere khwabon ki taabir
Jis din chahenge sarkar mein madine jaunga

Wo din aayega ek baar mein madine jaunga

Hai aamena mein meem halima mein meem hai
Mehraab mein hai meem to mimbar mein meem hai
Meenar mein hai meem to masjid mein meem hai
Imaan mein hai meem to muslim mein meem hai
Milad mein hai meem to mehfil mein meem hai
Aheram mein hai meem to zamzam mein meem hai
Paygam mein hai meem paygambar mein meem hai
Payam mein hai meem payambar mein meem hai
Islam mein hai meem to mazhab mein meem hai
Namaz mein hai meem to kalme mein meem hai
Ahmad mein meem hai to Muhammad mein meem hai
Makke mein meem hai to madeene mein meem hai
Is meem ka hai raaz Alif Laam Meem mein

Wo din aayega ek baar mein madine jaunga

Gauso Khwaja Laal kalandar mere sache peer
In ki nisbat ka sarmaya hai meri jagir
Wo kar denge beda paar mein madine jaunga

Wo din aayega ek baar mein madine jaunga

Josh masarrat mein aa aa kar kaliyan khilengi dil ki
Unka karam jab hoga Aleem to rahon se mushkil ki
Gir jayegi har deewar mein madine jaunga

Wo din aayega ek baar mein madine jaunga

Sharing Is Caring:

Leave a Comment