Wasfe Rukh Unka Kiya Karte Hai Naat Lyrics

Wasfe Rukh Unka Kiya Karte Hai Naat Lyrics

 

 

Wasf-e-Rukh Unka Kiya Karte Hai

Vasf-e-rukh unka kiya karte hai
Sharh-e-vasshams o dduha karte hai
Unki ham madh-o-sana karte hai
Jinko Mahamud kaha karte hai

Tu hai khursid-e-risalat pyare
Chhup gaye teri ziya me tare
Ambiya aur hai sab mahpare
Tuj se hi noor liya karte hai

Apne maula ki hai bas shan azim
Janvar bhi kare jinki ta’zim
Sang karte hai adab se taslim
Ped sajde me gira karte hai

Ungliya payee vo pyari pyari
Jinse dariya-e-karam hai jari
Josh par aati hai jab gam khvari
Isme sairab hua karte hai

Rif’ate zikr hai tera hissa
Dono alam me hai tera charcha
Murg-e-firdos b sad hamd-e-khuda
Teri hi madh-o-sana karte hai

Ha ye hi karti hai chidiya fariyad
Yahi se chahati hai harni daad
Isi dar par shutaran-e-na-shad
Gila-e-ranjo ena karte hai

Aasti Rehmat-e-A’alam Ulte
Kamare Paak Pe Daaman Baandhe
Girne vaalo Ko Kucha-e-Dohzakh Se
Saaf Alag Kheench Liya Karte Hai

Jab Sabaa Aati Hai Taibah Se Idhar
Khilkhila Padti Hai Kaliya Yaksar
Phool Jaame Se Nikal Kar Baahar
Rukhe Rangi Ki Sana Karte Hai

Jiske Jalwe Se Uhud Hai Taba
Ma’adane Noor Hai Uska Damaa
Ham Bhi Us Chand Pe Ho Kar Kurbaa
Dil-E-Sangi Ki Jila Karte Hai

Tu Hai Wo Badshah E Kouno Makaa
Ki Malak Haft Falak Ke Har Aa
Tere Maula Se Shahe Arsh Aywa
Teri Daulat Ki Dua Karte Hai

Kyu Na Zeba Ho Tujhse Taajwari
Tere Hi Dam Ki Hai Sab Jalwa Gari
Malako Jinno Bashar Hooro Pari
Jaan Sab Tujh Pe Fida Karte Hai

Apne Dil Ka Hai Unhi Se Aaram
Soupe Hai Apne Unhi Ko Sab Kaam
Lou Lagi Hai Ke Ab Us Darr Ke Ghulam
Chara-E Dard E RAZA Karte Hai

 

 

Wasf e Rukh Unka Kiya Karte Hain lyrics in hindi
वस्फ़े रुख़ उनका किया करते हैं लिरिक्स

Naat Khwan: Owais Raza Qadri

वस्फ़े रुख़ उनका किया करते हैं,
शरहे वश्शम्सुद्दुह़ा करते हैं।
उनकी हम मदह़ो सना करते हैं,
जिनको मह़मूद कहा करते हैं।
Wasf-E-Rukh Unka Kiya Karte Hain,
Shar’he wash-shamsudduha Karte Hain.
Unki Hum Mud-ho Sana Karte Hain,
Jinko Mahmood Kaha Karte Hain.

 

उंगलियां पाईं प्यारी प्यारी,
जिन से दरिया-ए-करम हैं जारी ।
जोश पर आती है जब ग़म ख़्वारी,
तिश्ने सैराब हुआ करते हैं ।
Ungliyan Paayi(n) Wo Pyaari-Pyaari,
Jin se Dariya-E Karam Hain Jaari.
Josh Par Aati Hai Jab Gumkhwari,
Tishne Sairaab Hua Karte Hain

उनकी हम मदह़ो सना करते हैं,
जिनको मह़मूद कहा करते हैं।
Unki Hum Mud-ho Sana Karte Hain,
Jinko Mahmood Kaha Karte Hain.

 

तू है खुरशीदे रिसालत प्यारे,
छुप गये तेरी ज़िया में तारे ।
अम्बिया और हैं सब मह-पारे,
तुझसे ही नूर लिया करते हैं ।
Tu Hai Khursheed-E-Risalat Pyaare
Chhup Gaye Teri Ziya Me Taare
Ambiya Aur Hain Sab Mah-Paare,
Tujhse Hi Noor Liya Karte Hain.

उनकी हम मदह़ो सना करते हैं,
जिनको मह़मूद कहा करते हैं।
Unki Hum Mud-ho Sana Karte Hain,
Jinko Mahmood Kaha Karte Hain.

 

जिस के जल्वे से उहुद है ताबां,
मा’दिने नूर है इस का दामां ।
हम भी उस ख़ाक़ पे होकर कुरबां,
दिले संगी की जिला करते हैं ।
Jiske Jalwe Se Uhud Hai Taba(n),
Ma’dine Noor Hai Uska Damaa(n).
Hum Bhi Us Khaaq Pe Ho Kar Kurbaa(n),
Dil-E Sangi Ki Jila Karte He

उनकी हम मदह़ो सना करते हैं,
जिनको मह़मूद कहा करते हैं।
Unki Hum Mud-ho Sana Karte Hain,
Jinko Mahmood Kaha Karte Hain.

 

आस्तीं रह़मते आ़लम उल्टे,
कमर-ए-पाक पे दामन बांधे ।
गिरने वालों को चहे दोज़ख़ से,
साफ़ अलग ख़ीच लिया करते हैं ।
Aastee(n) Rehmat-E Aalam Ulte,
Kamar-e-Paak Pe Daaman Baandhe.
Girne Waalon Ko Chahe Dohzakh Se,
Saaf Alag Kheench Liya Karte Hain.

उनकी हम मदह़ो सना करते हैं,
जिनको मह़मूद कहा करते हैं।
Unki Hum Mud-ho Sana Karte Hain,
Jinko Mahmood Kaha Karte Hain.

 

हां यही करती हैं चिड़ियां फ़रियाद,
हां यही चाहती है हरनी दाद ।
इसी दर पर शुतराने नाशाद,
गिला-ए-रन्जो अ़ना करते हैं ।
Haan Yahin Karti Hain Chidiyan Fariyaad,
Haan Yahin Chaahti Hai Harni Daad.
Isi Darr Par Shutraane-Naashaad,
Gila-E-Ranjo Ana Karte Hain.

उनकी हम मदह़ो सना करते हैं,
जिनको मह़मूद कहा करते हैं।
Unki Hum Mud-ho Sana Karte Hain,
Jinko Mahmood Kaha Karte Hain.

Sharing Is Caring:

Leave a Comment