Safina e Bakhshish Lyrics
Safina e Bakhshish
Table of Contents
Daghe Furqate Taybah Qalb Muzmahil Jata
Furqate Tayba Ki WahShat Dil Se Jaye Kher Se
Zinato Sajado Bazme Qaza Milta Nahi
Chaldiye Tum Ank Me Ashko Ka Darya Chor Kar
Munawwar Meri Ankhon Ko Mere Shamsud Duha Kar Dein
Aj Ki Rat Ziyaon Ki He Barat Ki Rat
Na’arae Risalat Ya Rasoolallah (Sallal Lahu Alaihe Wasallam)
Dare Ahmad Pe Ab Meri Jabin He
Marke Jine Ka Paoon Maza Kher Se
Safina e Bakhshish
Daghe Furqate Taybah Qalb Muzmahil Jata
Daghe Furqate Taybah Qalb Muzmahil Jata
Kash Gumbade Khazra Dekhne Ko Mil Jata
Mera Dam Nikal Jata Unke Astane Par
Unke Astane Ki Khak Me Me Mil Jata
Mere Dil Se Dhul Jata Daghe Furqate Taybah
Taybah Me Fana Ho Kar Taybah Me Hi Mil Jata
Maut Le Ke Aa Jati Zindagi Madine Me
Maut Se Gale Mil Kar Zindagi Me Mil Jata
Khuld Zare Taybah Ka Is Tarha Safar Hota
PIchhe PIchhe Sar Jata Age Age Dil Jata
Dil Pe Jab Kiran Parti Unke Sabz Gumbad Ki
Uski Sabz Rangat Se Bagh Bun Ke Khil Jata
Furqate Madina Ne Woh Di`E Mujhe Sadme
Koh Par Agar Parte Koh Bhi To Hil Jata
Dil Pe Woh Qadam Rakhte Naqshe Pa Yeh Dil Banta
Ya To Khake Pa Ban Kar Pa Se Muttasil Jata
Un Ke Dar Pe Akhtar Ki Hasratein Huvi Puri
Saile Dare Aqdas Kaise Munfa`Il Jata
Safina e Bakhshish
Furqate Tayba Ki WahShat Dil Se Jaye Kher Se
Furqate Tayba Ki Wahshat Dil Se Jaye Kher Se
Me Madina Ko Chaloo Wo Din Phir Aye Kher Se
Dil Me Hasrat Koyi Baqi Rah Na Jaye Kher Se
Rahe Tayba Me Mujhe Yoon Maut Aye Kahir Se
Mere Din Phir Jaye Ya Rabb Shab Wo Aye Kher Se
Dil Me Jab Mahe Madina Ghar Banaye Kher Se
Rat Mere Din Bane Unki Baqaye Kher Se
Qabr Me Jab Unki Tal At Jagmaghaye Kher Se
He Ghani Ke Dar Pe Hum Bistar Jamaye Kher Se
Kher Ke Talib Kahan Ja Enghe Jaye Kher Se
Wo Khirame Naz Farmaye Jo Paye Kher Se
Kiya Bayan Woh Zindagi Ho Dil Jo Paye Kher Se
Mar Ke Bi Dilse Najaye Ulfaht Bage Nabi
Khuld Me Bi Bhag Jana Yad Aye Kher Se
Ranjo Gham Hon Benishan Aye Bahar Be Khiza
Mere Dil Me Bhage Jana Ki Huwaye Kher Se
Istaraf Bi Do Qadam Jalwe Khiram Naz Ke
Reh Ghuzar Me Hum Bi He Ankhe Bichae Kher Se
Ho Mujhe Sire Ghulistane Madina Yoon Nasib
Me Baharonme Chaloo Khud Ko Gumaye Kher Se
Zindabad Ae Arazooe Baghe Tayba Zindabad
Tere Dhum Se He Zamane Ke Sitaye Kher Se
Najdiyo Ki Chira Dusthi Ya Ilahi Ta Bake
Ye Balaye Najd Ye Tayba Se Jaye Kher Se
Jhanhklo Ankho Me UnKi Hasrate Tayba Liye
Za Ere Tayba Ziya E Tayba Laye Kher Se
He Ye Tayba Ka Payame Talibe Aishe Dawam
Jan Nate Tayba Me Ahisti Mitaye Kher Se
Sanghe Dar Se A Mile Tayba Me Abtoja Mile
Agaye Dar Pe Tere, Tere Dar Pe Bulaye Kher Se
Ghosh Bar Awaz Hu Qudsi Bi Iske Ghit Par
Baghe Tayba Me Jab Akhtar Ghunghunaye Kher Se
Safina e Bakhshish
Sambhal Ja Ai Dile Muztar Madina Aane Wala He
Luta Ae Chashme Tar Gohar Madina Aane Wala He
Qadam Ban Jaey Mera Sar Madina Ane Wala He
Bichhoon Reh Me Nazar Ban Kar Madina Ane Wala He
Jo Dekhein Un Ka Naqshe Pa Khuda Se Woh Nazar Mangoon
Caraghe Dil Chaloon Lekar Madina Ane Wala He
Karam Unka Chala Yoon Dil Se Kehta Rahe Taybah Me
Dile Muztar Tasalli Kar Madina Ane Wala He
Nichhawar He Madine Ki Yeh Mera Dil Meri AnkHe
Nichhawar Hoon Madina Par Madina Ane Wala He
Ilahi Me Talabgare Fana Hoon Khake Taybah Me
Ilahi Kar Nisare Dar Madina Ane Wala He
Madine Ko Chala Mei Beniyaze Rehbare Manzil
Rahe Taybah He Khud Rehbar Madina Ane Wala He
Mujhe Khinche Liye Jata He Shouqe Kooncha’e Jana
Khincha Jata Hoon Me Yaksar Madina Ane Wala He
Woh Chamka Gumbade Khazra Woh Shehre Pur Ziya Aya
Dhale Ab Noor Me Pekar Madina Ane Wala He
Jahan Se Bekhabar Ho Kar Chalo Khulde Madina Me
Chalo Ab Hosh Ki Pikar Madina Ane Wala He
Madine Me Khule Babe Hayate Nau Batarze Nau
Badal Dalo Kohan Daftar Madina Ane Wala He
Zara Ai Markabe Umre Rawan Chal Barq Ki Soorat
Dikha Parwaz Ke Jowhar Madina Ane Wala He
Talabgare Madina Tak Madina Khud Hi Ajaey
Tu Duniya Se Kinara Kar Madina Ane Wala He
Madina Agaya Ab Der Kiya He Sirf Itni Si
Tu Khali Kar Yeh Dil Ka Ghar Madina Ane Wala He
Falak Shayad Zamin Par Rehgaya Khake Guzar Bankar
Bichhe He Rah Me Akhtar Madina Ane Wala He
Ghubare Rahe Anwar Kis Qadar Purnoor He Akhtar
Tani He Noor Ki Chadar Madina Ane Wala He.
Safina e Bakhshish
Zinato Sajado Bazme Qaza Milta Nahi
Zinato Sajado Bazme Qaza Milta Nahi
Lale Yaktae Shahe Ahmed Raza Milta Nahi
Wo Jo Apne Dor Ka Sadiq Tha Milta Nahi
Mahrame Raze Muhammad Mustafa Milta Nahi
Ab Chiraghe Dil Jalakar Ho Sake To Doon Diye
Partawe GhausO RazaO Mustafa Milta Nahi
Alime Sozdaroon Kis Se Kahoon Kis Se Kahoon
Chara Saze Darde Dil Darde Ashina Milta Nahi
Alimo Ka Mu Tabar Wo Peshawa Milta Nahi
Jo Mujas Sam I Lm Tha Wo Kiya Huwa Milta Nahi
Zahido Ka Wo Mus Sallam Muq Tada Milta Nahi
Jispe Naza Zahid Tha Wo Parsa Milta Nahi
Faro Afrade Zaman Wa Shayhk Ash Shayake Jahan
Kamilane Dehr Kawo Muntaha Milta Nahi
Istiqamat Kawo Koha Muh Kamo Bala Tere
Jiske Jane Se Zamana Hilgaya Milta Nahi
Chariyaro Ki AdaE Jisme Te Jalwanuma
Chariyaro Ka Wo Roshan Aina Milta Nahi
Ekh Shake Ghul Nahi Sara Chaman Andoghin
Mustafa Ka Andalibe Khushnawa Milta Nahi
Muftie Azam Ka Zar Ra Kiya Bana Akthar Raza
MehfilE Anjum Me Akhtar Doosra Milta Nahi
Safina e Bakhshish
PirO Ke Ap Pir Heh, Ya Ghous AlMadad
Ahle Safa Ke Mir Heh, Ya Ghous AlMadad
Ranjo Alam Kasir Heh, Ya Ghous AlMadad
Hum Ajozo Asir Heh, Ya Ghous AlMadad
Hum Kayse Ji Rahe Heh, Ye Tum Se Kiya Kahe
Hum Heh Alam Ke Tir, Ya Ghous AlMadad
Tere Nazar Se Pherdo, Sare Alam Ke Tir
Kiya Ye Alam Ke Tir Heh, Ya Ghous AlMadad
Tere Hi Hath Laj He, Ya PirE Dastagir
Hum Tere Dastagir Heh, Ya Ghous AlMadad
Kis Dil Se Ho Bayani, Bedade Zalima
Zalim Bare Sharir Heh, Ya Ghous AlMadad
Ahle Safa Ne Paie, Tumse Rahe Safa
Sab Tumse Mustanir Heh, Ya Ghous AlMadad
Sadqa RasoolE Pak Ka, Jholi Me Daldo
Hum Qadri FaKir Heh, Ya Ghous AlMadad
Dil Ki SunaE Akhtar, Dil Ki Zaban Me
Kehte Yeh Behtanir Heh, Ya Ghous AlMadad
Safina e Bakhshish
Chaldiye Tum Ank Me Ashko Ka Darya Chor Kar
Chal Diye Tum Ankh Me Ashkon Ka Darya Chhor Kar
Ranje Furqat Ka Har Ik Sine Me Sholah Chhor Kar
Lazzate Mey Le Gaya Woh Jamo Mina Chhor Kar
Mera Saqi Chal Diya Khud Mey Ko Tishna Chhor Kar
Har Jigar Me Dard Apna Mitha Mitha Chhor Kar
Chal Diye Woh Dil Me Apna Naqshe Wala Chhor Kar
Alame Bala Me Har Soo Marhaba Ki Goonj Thi
Chaldiye Jab Tum Zamane Bhar Ko Soona Chhor Kar
Maut Alim Se Bandhi He Maute Alam Be Guma
Roohe Alam Chaldiya Alam Ko Murdah Chhor Kar
Muttaqi Ban Kar Dikha`E Is Zamane Me Koi
Ek Mere Muftie Azam Ka Taqwa Chhor Kar
Khwab Me Akar Dikhao Hum Ko Bhi Ai Jan Kabhi
Kaun Si Dunya Basa`I Tum Ne Dunya Chhor Kar
Ek Tum Dunya Me Reh Kar Tarike Dunya Rahe
Reh Ke Dunya Me Dikha`E Koi Dunya Chhor Kar
Us Ka Ai Shahe Zaman Sara Zamanah Ho Gaya
Jo Tumhara Ho Gaya Sara Zamanah Chhor Kar
Rahnuma`E Rahe Jannat He Tera Naqshe Qadam
Rahe Jannat Teh Na Hogi Tera Rastah Chhor Kar
Ho Sake To Dekh Akhtar Baghe Jannat Me Usse
Woh Gaya Taron Se Age Ashiyanah Chhor Kar
Safina e Bakhshish
Munawwar Meri Ankhon Ko Mere Shamsud Duha Kar Dein
Jahan Bani Ata Kardein Bhari Jannat Hibah Kar Dein
Nabi Mukhtare Kul Hein Jis Ko Jo Chahe Ata Kar Dein
Jahan Me Unki Chalti He Woh Dum Me Kiya Se Kiya Kar Dein
Zamin Ko Asman Kar Dein Suraiyya Ko Sara Kar Dein
Fiza Me Urne Wale Yoon Na Itra`E Nida Kar Dein
Woh Jab Chahe JisSe Chahe UsSe Farma Rawa Kar Dein
Meri Mushkil Ko Yoon Asan Mere Mushkil Kusha Kar Dein
Har Ik Mauje Bala Ko Mere Maula Na Khuda Kar Dein
Ata Ho Bekhudi Mujh Ko Khudi Meri Hawa Kar Dein
Mujhe Yoon Apni Ulfat Me Mere Maula Fana Kar Dein
Jahan Me Am Paighame Shahe Ahmad Raza Kar Dein
Palat Kar Pichhe DekHe Phir Se Tajdide Wafa Kar Dein
Nabi Se Jo Ho Beygana Usse Dil Se Juda Kar Dein
Pidar Madar Biradar MalOJan Un Par Fida Kar Dein
Munawwar Meri Ankhon Ko Mere Shamsud Duha Kar Dein
Ghamon Ki Dhoop Me Wo Sayae Zulfe Dota Kar Dein
Kisi Ko Woh Hansate Hein Kisi Ko Woh Rulate Hein
Woh Yoon Hi Azmate Hein Woh Ab To Faislah Kar Dein
Gile Taybah Me Mal Jaoon Gulon Me Mil Ke Khil Jaoon
Hayate Jawidani Se Mujhe Yoon Ashna Kar Dein
Unhein Manzoor He Jab Tak Yeh Daure AzMesh He
Nah Chahein To Abhi Woh Khatm Daure Ibtila Kar Dein
Sa`Ge Awarae Sehra Se Ukta Si Ga`I Duniya
Bachao Ab Zamane Ka Sagane Mustafa Kar Dein
Mujhe Kiya Fiqr Ho Akhtar Mere Yawar He Woh Yawar
Balaon Ko Jo Meri Khud Giraftare Bala Kar Dein
ShaHeshahe Do Alam Ka Karam He
Mere Dil Ko Mayassar Unka Gham He
Yahin Rehte He Woh Jane Baharan
Yeh Dunya Dil Ki Rashke Sad Iram He
Bhala Dawe He Unse Hum Sari Ke
Sare Arshe Barin Jin Ka Qadam He
Yeh Darbare Nabi He Jis Ke Age
Na Jane Arshe Azam Kab Se Kham He
Taras Khao Meri Tishnah Labi Par
Meri Pyas Aur Yeh Ik Jam Kam He
Dile Betab Ko Behlaoon Kaise
Barhe Gi Aur Betabi Sitam He
Yahan Qabu Me Rakhna Dil Ko Akhtar
Yeh Darbare ShaHeshahe Umam He
Tum Chalo Hum Chale Sab Madine Chale
Janibe Taibah Sab Ke Safine Chale
Mekashon Ao Ao Madine Chale
Badae Khuld Ke Jam Pine Chale
Ji Ga`E Woh Madine Me Jo Mar Ga`E
Ao Hum Bhi Wahan Mar Ke Jine Chale
Zindagi Ab Sare Zindagi Agai
Akhri Waqt He Ab Madine Chale
Unki Shane Karam Ki Kashish Daykhiye
Kasah Lay Kar Kaha Khusrawine Chale
Rahe Taibah Me Jab Natawan Reh Ga`E
Dil Ko Khincha Kaha Be Kali Ne Chale
Khake Taibah Me Apni Jagah Ho Gai
Khoob Muzda Sunaya Khushi Ne Chale
Agle Pichhle Sabhi Khuld Me Chal Diye
Roze Mehshar Kaha Jab Nabi Ne Chale
Akhtare Khastah Bhi Khuld Me Chal Diya
Jab Sada Di Use Murshidi Ne Chale
Safina e Bakhshish
Tere Damane Karam Me Jise Nind Agai He
Jo Fana Na Hogi Aisi Use Zindagi Mili He
Mujhe Kiya Pari Kisi Se Karun Arz Mudda`A Me
Meri Lau To Bas Unhi Ke Dare Jood Se Lagi He
Woh Jahan Bhar Ke Data Mujhe Pheir Denge Khali
Meri Taubah Ay Khuda Yeh Mere Nafs Ki Badi He
Jo Pa`E Sawal A`E Mujhe Dekh Kar Yeh Bole
Ise CHe Se Sulao Ke Yeh Bandae Nabi He
Me Marun To Mere Maula Yeh Malaika Se Keh Dein
Koi Is Ko Mat Jagana Abhi Ankh Lag Gai He
Me Gunahgar Hoon Aur Bare Martabon Ki Khwahish
Tu Magar Karim He Jo Teri Bandah Parwari He
Teri Yad Thapki Dekar Mujhe Ab Shaha Sula De
Mujhe Jagte Hu`E Yoon Bari Der Ho Gai He
Ay Nasime Kooe Jana Zara Sooe Bad Nasiban
Chali A Khuli He Tujh Pe Jo Hamari Bekasi He
Tera Dil Shikastah Akhtar Isi Intizar Me He
Ke Abhi Nawide Waslat Tere Dar Se A Rahi He
Aj Ki Rat Ziyaon Ki He Barat Ki Rat
Aj Ki Rat Ziyaon Ki He Barat Ki Rat
Fazle Nou Shahe Do Alam Ke Bayanat Ki Rat
Shabe Meraj Woh Awha Ke Isharat Ki Rat
Koun Samjha`E Woh Kaisi Thi Munajat Ki Rat
Chhai Rehti He Khayalon Me Tumhari Zulfein
Koi Mausam Ho Yahan Rehti He Barsat Ki Rat
Dil Ka Har Dag Chamakta He Qamar Ki Soorat
Kitni Roushan He Rukhe Sheh Ke Khayalat Ki Rat
Rukhe Tabane Nabi Zulfe Muambar Pe Fida
Roze Tabinda Yeh Masti Bhari Barsat Ki Rat
Rind Pite He Teri Zulf Ke Sa`E Me Sada
Koi Mausam Ho Yahan Rehti He Barsat Ki Rat
Bulbule Baghe Madina Ko Suna Day Akhtar
Aj Ki Shab He Farishton Say Mubahat Ki Rat
Na’arae Risalat Ya Rasoolallah (Sallal Lahu Alaihe Wasallam)
Sadre Bazme Kasrat Ya Rasoolallah
Razdare Wahdat Ya Rasoolallah
Har Jahan Ki Rehmat Ya Rasoolallah
Behtarine Khalqat Ya Rasoolallah
Na’arae Risalat Ya Rasoolallah
Sahibe Hidayat Ya Rasoolallah
Chhaya Abre Zulmat Ya Rasoolallah
Natawa He Ummat Ya Rasoolallah
Kijiye Himayat Ya Rasoolallah
Na’arae Risalat Ya Rasoolallah
Malike Shafa’at Ya Rasoolallah
Bekason Ki Taqat Ya Rasoolallah
Mezbane Ummat Ya Rasoolallah
Ek Jame Sharbat Ya Rasoolallah
Na’arae Risalat Ya Rasoolallah
Did Ke Hon Talib Jab Khuda Say Moosa
Unko Lantarani Kehde Rab Tumhara
Par Tumhare Rab Say Tum Ko Mere Moula
He Payame Waslat Ya Rasoolallah
Na’arae Risalat Ya Rasoolallah
Karna Tha Khuda Ko Hum Pe Ashikara
Akhri Nabi He Usko Sab Say Pyara
Koi Bhi Nabi Ho Pichhli Ummaton Ka
Tum Ko Sab Pe Sabqat Ya Rasoolallah
Na’arae Risalat Ya Rasoolallah
Tum Ko Jo Bataey Apne Jaisa Insan
Kor Chashm He Woh Do Jahan Ke Sultan
Dev Ka He Bandah Woh Adoowwe Rehman
Jisko Tum Say Nafrat Ya Arasoolallah
Na’arae Risalat Ya Rasoolallah
Daher Me He Kiya Sheh Tum Say Jo Nihan He
Tum Par Hale Akhtar Bilyaqin Ayan He
Bus Meri Khamoshi Hi Meri Zuban He
Kiya Karoon Shikayat Ya Rasoolallah
Na’arae Risalat Ya Rasoolallah
Mast Ma`E Alast He Woh Badshahe Waqt He
Bandae Dar Jo He Tera Woh Be Niyaz Bakht He
Salle Ala Nabiyyena Salle Ala Muhammadin
Unki Gada`I Ke Tufail Hum Ko Mili Sikandari
Rang Yeh La`I Bandagi Ouj Pe Apna Bakht He
Salle Ala Nabiyeina Salle Ala Muhammadin
Gardishe Daur Ya Nabi Wiran Dil Ko Kar Ga`I
Tab Na Mujh Me Ab Rahi Dil Mera Lakht Lakht He
Salle Ala Nabiyyena Salle Ala Muhammadin
Ghunchae Dil Khilaiyye Jalwae Rukh DikHeyye
Jame Nazar Pilaiyye Tishnagi Mujh Ko Sakht He
Salle Ala Nabiyyena Salle Ala Muhammadin
Akhtare Khasta Taibah Ko Sab Chale Tum Bhi Ab Chalo
Jazb Se Dil Ke Kam Lo Utho Ke Waqte Raft He
Salle Ala Nabiyyena Salle Ala Muhammadin
Pi Ke Jo Mast Ho Gaya Badae Ishqe Mustafa
Us Ki Khudai Ho Gai Aur Woh Khuda Ka Ho Gaya
Salle Ala Nabiyyena Salle Ala Muhammadin
Salle Ala Shafiena Salle Ala Muhammadin
Keh Diya Qasimun Ana Dono Jahan Ke Shah Ne
Yani Dare Huzoor Pe Batt Ti Hein Nemate Khuda
Salle Ala Nabiyyena Salle Ala Muhammadin
Salle Ala Shafiena Salle Ala Muhammadin
Arsae Hashr Me Khuli Unki Who Zulfein Ambarin
Minah Woh Jhoom Kar Gira Chha`I Woh Dekhi`E Ghata
Salle Ala Nabiyyena Salle Ala Muhammadin
Salle Ala Shafiena Salle Ala Muhammadin
Gardishe Chasme Naz Me Sadqe Tere Yeh Keh To De
Le Chalo Isko Khuld Me Yeh To Hamara Ho Gaya
Salle Ala Nabiyyena Salle Ala Muhammadin
Salle Ala Shafiena Salle Ala Muhammadin
Dare Ahmad Pe Ab Meri Jabin He
Dare Ahmad Pe Ab Meri Jabin He
Mujhe Kuchh Fikre Do Alam Nahin He
Mujhe Kal Apni Bakhshish Ka Yaqin He
Ke Ulfat Unki Dil Me Ja Guzin He
Baharein Yoon To Jannat Me He Lakhon
Baharein Dashte Taibah Par Kahin He
Me Wasfe Mahe Taibah Kar Raha Hoon
Bala Se Gar Koi Chin Bar Jabin He
Abas Jana He To GHeron Ki Janib
Ke Babe Rehmate Rehman Yahin He
Gunahgaron Na Ghabrao Ke Apni
Shafa`At Ko ShafiUlMuznabin He
Faraibe Nafs Me Hamdam Na Ana
Bache Rehna Yeh Mare Astin He
Dile Betab Se Akhtar Yeh Kehdo
Sambhal Ja`E Madina Ab Qarin He
Apne Dar Pe Jo Bulao
By Tajush Shari’ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza Qadri Azhari
Apne Dar Pe Jo Bulao To Bahut Acchha Ho
Meri Bigri Jo Banao To Bahut Acchha Ho
Qaide SHetan Se Chhurao To Bahut Acchha Ho
Mujh Ko Apna Jo Banao To Bahut Acchha Ho
Gardishe Daur Ne Pamal Kiya Mujh Ko Huzoor
Apne Qadmon Me Sulao To Bahut Acchha Ho
Yoon To Kehlata Hoon Bandah Me Tumhara Lekin
Apna Keh Ke Jo Bulao To Bahut Acchha Ho
Ghame Paiham Se Yeh Basti Meri Wiran Hui
Dil Me Ab Khud Ko Basao To Bahut Acchha Ho
Kaif Is Badae Gulnar Se Milta Hi Nahin
Apni Ankhon Se Pilao To Bahut Acchha Ho
Tum To Murdon Ko Jila Dete Ho Mere Aqa
Mere Dil Ko Bhi Jilao To Bahut Acchha Ho
Jisne Sharmindah Kiya MaherOMaho Anjum Ko
Ik Jhalak Phir Woh Dikhao To Bahut Acchha Ho
Ro Chuka Yoon To Me Auron Ke Liye Khoob Magar
Apni Ulfat Me Rulao To Bahut Acchha Ho
Yoon Na Akhtar Ko Phirao Mere Maula Dar Dar
Apni Chaukhat Pe Bithao To Bahut Acchha Ho
Safina e Bakhshish
Door Ay Dil Rahein
Door Ay Dil Rahein Madine Se
Mout Behtar He Ayse Jine Se
Unse Mera Salam Keh Dena
Jake Tu Ay Saba Qarine Se
Har Gule Gulsitan Muattar He
Jane Gulzar Ke Pasine Se
Yoon Chamakte He Zarre Taibah Ke
Jaise Bikhre Huay Nagine Se
Zikre Sarkar Karte He Momin
Koi Mar Ja`E Jal Ke Kine Se
Bar Gahe Khuda Me Kiya Pohnche
Gir Gaya Jo Nabi Ke Zine Se
Panjae Chashme Naz Se Unki
Mekashon Ka Bhala He Pine Se
Is Tajalli Ke Samne Akhtar
Gul Ko Ane Lage Pasine Se
Woh Barhta Sayae Rehmat Chala
By Tajush Shari’ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza Qadri Azhari
Woh Barhta Sayae Rehmat Chala Zulfe Muambar Ka
HuMe Ab Dekhna He Hauslah Khurshide Mehshar Ka
Jo Be Pardah Nazar Ajaey Jalwah Rooe Anwar Ka
Zara Sa Muh Nikal Aey Abhi Khurshide Mehshar Ka
AdabgaHest Zere Asman Az Arsh Nazuk Tar
Yahan Ate He Yoon Arshi Ke Awaza Nahin Par Ka
Hamari Samt Woh Mehre Madina Meherban Aya
Abhi Khul Jaega Sab Hauslah Khurshide Mehshar Ka
Chamak Sakta He To Chamke Muqabil Un Ki Tal’at Ke
HuMe Bhi Dekhna He Hauslah Khurshide Mehshar Ka
Rawa Ho Salsabile Ishqe Sarwar Mere Sine Me
Na Ho Phir Nar Ka Kuchh Gham Na Dar Khurshide Mehshar Ka
Tera Zarrah Woh He Jis Ne Khilaey Anginat Tare
Tera Qatrah Woh He Jis Se Mila Dhara Samandar Ka
Batana Tha Ke Nechar Un Ke Zere Pa Musakkhar He
Bana Patthar Me Yoon Naqshe Kafe Pa Mere Sarwar Ka
Woh Zahir Ke Bhi Hakim He Woh Batin Ke Bhi Sultan He
Nirala Toore Sultani He Shaho Ke Sikandar Ka
Yeh Sunlein Sayae Jisme Payambar Dhoondne Wale
Bashar Ki Shakl Me Digar He Woh Pekar Payambar Ka
Woh Zille Zate Rehman He Nabuwwat Ke Mahe Taban
Na Zil Ka Zil Kahin Dekha Na Saya Maho Akhtar Ka
Apne Rindo Ki Ziyafat Kijiye
Jame Nazzara Inayat Kijiye
Saqie Kausar Duha’i Ap Ki
Sokhta Jano Pe Rehmat Kijiye
Dijiye Meri Muhabbat Ko Hawa
Is Taraf Chashme Muhabbat Kijiye
Qaide Gham Me Khush Rahoon Me Umr Bhar
Yoon Giraftare Muhabbat Kijiye
Khud Ko Bhooloon Ap Ki Ulfat Me Me
Mujh Ko Yoon Mad’hoshe Ulfat Kijiye
Daf’ah Ho Taybah Se Yeh Najdi Bala
Ya Rasoolallah Ujlat Kijiye
Mang Lije Khake Taybah Me Jagah
Khak Me Samane Ishrat Kijiye
Un Pe Marna He Dawame Zindagi
Maut Se Phir Kyon Na Ulfat Kijiye
Jan Lene Aey Woh Jane Jahan
Maut Se Phir Kaise Nafrat Kijiye
Ghause Azam Ap Se Fariyad He
Dastagiri Mere Hazrat Kijiye
Rehlate Akhtar Ka Hangam A Gaya
Sayae Rehmat Me Rukhsat Kijiye
Har Nazar Kanp Utthegi
By Tajush Shari’ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza Qadri Azhari
Har Nazar Kanp Utthegi Mehshar Ke Din
Khauf Se Har Kaleja Dehel Jaega
Par Yeh Naz Un Ke Bande Ka DekHege Sab
Tham Kar Un Ka Daman Machal Jaega
Mauj Katra Ke Hum Se Chali Jaegi
Rukh Mukhalif Hawa Ka Badal Jaega
Jab Ishara Karenge Woh Name Khuda
Apna Bera Bhawar Se Nikal Jaega
Yoon To Jita Hoon Hukme Khuda Se Magar
Mere Dil Ki He Un Ko Yaqinan Khabar
Hasile Zindagi Hoga Woh Din Mera
Un Ke Qadmon Pe Jab Dum Nikal Jaega
Rabbe Sallim Woh Farmane Wale Mile
Kyon Satate He Ai Dil Tujhe Waswase
Pul Se Guzrenge Hum Wajd Karte Huwe
Kaun Kehta He Paoo Phisal Jaega
Akhtare Khasta Kyon Itna BecHe He
Tera Aqa SheHeshahe Kaunain He
Law Laga To Sahi Shahe Lawlak Se
Gham Musarrat Ke Sanche Me Dhal Jaega
Is Taraf Bhi Ik Nazar
By Tajush Shari’ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza Qadri Azhari
Is Taraf Bhi Ik Nazar Mehre Darakhshane Jamal
Hum Bhi Rakhte He Bohat Muddat Se Armane Jamal
Tum Ne Acchho Par Kiya He Khoob Faizaane Jamal
Hum Bado Par Bhi Nigahe Lutf Sultane Jamal
Ik Ishare Se Kiya Shaq Mahe Taba Ap Ne
Marhaba Sad Marhaba Salle Ala Shane Jamal
Teri Jabakhshi Ke Sadqe Ai Masihae Zama
Sangrezo Ne Parha Kalma Tera Jane Jamal
Kab Se Bethe He Lagaey Law Dare Jana Pe Hum
Hae Kab Tak Did Ko Tarse Fidayane Jamal
Farsh Ankhon Ka Bichhao Reh Guzar Me Ashiqon
Unke Naqshe Pa Se Hoge Mazhare Shane Jamal
Marke Mitti Me Mile Woh Najdiyon Bilkul Ghalat
Hasb Sabiq Ab Bhi He Marqad Me Sultane Jamal
Garmie Mehshar Gunahgaro He Bus Kuchh Der Ki
Abr Ban Kar Chhaenge Gesooe Sultane Jamal
Kar Ke Dawa Humsari Ka Kaise Muh Ke Bal Gira
Mit Gaya Woh Jisne Ki Tewhine Sultane Jamal
Hasidane Shahe Din Ko Dijiye Akhtar Jawab
Dar Haqiqat Mustafa Pyare He Sultane Jamal
By Tajush Shari’ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza Qadri Azhari
Tumhein Jis Ne Bhi Dekha Keh Utha Ahmad Raza Tum Ho
Jamale Hazrate Ahmad Raza Ka Aina Tum Ho
Nahi Hamid Raza Hum Me Magar Wajhe Shakeba’i
Khuda Rakkhe Tumhein Zindah Mere Hamid Numa Tum Ho
Tumhare Nam Me Tumko Buzurgi Ki Sanad Hasil
Raza Wajhe Buzurgi He Razae Mustafa Tum Ho
Tumhare Nam Me Yoon He RazaOMustafa Do Juz
Raza Wale Yaqinan Mustafa Ke Mustafa Tum Ho
Hayato Maut Wabasta Tumhare Dum Se He Dono
Humari Zindagi Ho Aur Dushman Ki Qaza Tum Ho
Yeh Noori Chehra Yeh Noori Adaein Sub Yeh Kehte He
Shabihe Ghaus Ho Noori Miya Ho Aur Raza Tum Ho
Tumhari Rif’aton Ki Ibtida Bhi Pa Nahin Sakta
Ke Uftada Zamin Hoon Me Bulandi Ka Sama Tum Ho
Raza Jooyane Rab Thame Huwe He Isliye Daman
Raza Se Kam Parta He Razae Kibriya Tum Ho
Janabe Muftie Azam Ke Faizane Tajalli Se
Shabistane Raza Me Kher Se Akhtar Raza Tum Ho
By Tajush Shari’ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza Qadri Azhari
WajHeNishate Zindagi Rahate Jan Tum Hi To Ho
Roohe Rawane Zindagi Jane Jahan Tum Hi To Ho
Tum Jo Na The Kuchh To Na Tha Tum Jo Na Ho To Kuchh Na Ho
Jane Jahan Tum Hi To Ho Jane Jinan Tum Hi To Ho
Taje Waqare Khakiyan Nazishe Arsho Arshiyan
Fakhre Zamino Asman Fakhre Zaman Tum Hi To Ho
Kis Se Karoon Bayane Gham Kaun Suney Fughane Gham
Paoon Kahan Amane Gham Amno Aman Tum Hi To Ho
Rooho Rawane Zindagi Tabo Tawane Zindagi
Amno Amane Zindagi Shahe Shahan Tum Hi To Ho
Tum Ho Charaghe Zindagi Tum Ho Jahan Ki Roshni
MeherOMahONujoom Me Jalwah Kunan Tum Hi To Ho
Tum Ho Qawame Zindagi Tum Se He Zindagi Bani
Tum Se Kahey He Zindagi Roohe Rawan Tum Hi To Ho
Tum Ho Namoode Awwalin Shame Abad Bhi Ho Tum Hi
Shahe Zaman Yahan Wahan Sikkah Nishan Tum Hi To Ho
Akhtar Ki He Majal Kiya Mehshar Me Sab Hi Dam Bakhud
Sab Ki Nazar Tum Hi Pe He Sab Ki Zuban Tum Hi To Ho
By Tajush Shari’ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza Qadri Azhari
Hamare Baghe Arman Me Bahare Be Khizan Aye
Kabhi Jo Is Taraf Khandah Woh Jane Gulsitan Aye
Woh Jane Yoosuf A Jaye Agar Mere Tasawwur Me
Khuda Rakkhe Wohi Khinch Kar Bahare Do Jahan Aye
Koi Dekhe Meri Ankhon Se Yah Aizaz Aqa Ka
Salami Ko Dare Hazrat Pe Shahe Qudsiyan Aye
Jamale Rooe Janan Dekh Loon Kuchh Aisa Saman Ho
Kabhi To Bazme Dil Me Ya Khuda Arame Jan Aye
Ilahi Apni Sattari Ka Tujh Ko Wastah Sun Ley
Sare Mehshar Na Bande Ka Gunah Koi Ayan Aye
Karam Se Is Kamine Ki Bhi Maula Laj Rakh Lena
Tera Akhtar Tere Saye Me Shahe Do Jahan Aye
Safina e Bakhshish
Shuja`At Naz Karti He Jalalat Naz Karti He
Woh Sultane Zaman He Un Pe Shoukat Naz Karti He
Shahe Khooban Pe Har KhoobiOKhaslat Naz Karti He
Karim Aise He Woh Un Par Karamat Naz Karti He
Jahane Husn Me Kuchh Yoon Nirali Shan He Unki
Nabi Ke Gul Pe Gulzaron Ki Zinat Naz Karti He
ShaHeshahe Shahidan Ho Anokhi Shan Wale Ho
Husain Ibne Ali Tum Par Shahadat Naz Karti He
Bitha Kar Shanae Aqdas Pe Kardi Shan Do Bala
Nabi Ke Ladlon Par Har Fazilat Naz Karti He
Fidai Hoon To Kiska Hoon Koi Daykhe Meri Qismat
Qadam Pe Jis Hasin Ki Jane Tal`At Naz Karti He
Khuda Ke Fazl Se Akhtar Me Unka Nam Lewa Hoon
Me Hoon Qismat Pe Nazan Mujh Pe Qismat Naz Karti He
Baghe TaslimORaza Me Gul Khilate He Husain
Yani Hangame Musibat Muskurate He Husain
Barqe Alam Sauz Ka Alam Dikhate He Husain
Muskura Kar Qil`A Batil Ka Girate He Husain
Marziye Maula Ki Khatir Har Sitam Ko Seh Liya
Kis Khushi Se Bare Gham Dil Par Uthate He Husain
Muftie Azame Dine Kherul Wara
By Tajush Shari’ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza Qadri Azhari
Muftie Azame Dine Kherul Wara
Jalwae Shane Irfane Ahmad Raza
Dide Ahmad Raza Hay Tumhein Daykhna
Zate Ahmad Raza Ka Ho Tum Ainah
Noor Ki Me Pilate He Yeh Rozo Shab
Jis Ko Pina Ho A`E Yeh Mekhana Wa
Ahmade Noori Ke He Yeh Mazhar Tamam
Yeh He Noori Miyan Noori Har Har Ada
He Bahut Ilm Wale Bhi Aur Pir Bhi
Ankhon Dekha Na Unsa Na Kanon Suna
Unka Sayah Saron Par Salamat Rahe
Muh Sarate Rahe Yoon Hi Dushman Sada
Woh Jaleinge Hamesha Jo Tujh Se Jalein
Mar Ke Bhi Dil Jalon Ko Nah CHe A`E Ga
Ashiqon Ke Jigar Unse Thande Rahein
Dushmanon Par Rahein Ban Ke Shakle Qaza
Aur Honge Jinhein Tujh Se Lalach Ho Kuchh
Tere Akhtar Ko Kafi He Teri Raza
Marke Jine Ka Paoon Maza Kher Se
Marke Jine Ka Paoon Maza Kher Se
Rahe Taibah Me Aye Kaza Kher Se
Mujh Ko Un Ka Ishara Mila Kher Se
Me Madine Ki Janib Chala Kher Se
Kijiye Mere Haq Me Dua Kher Se
Khake Taibah Me Ho Meri Jan Kher Se
Khoob Guzrenge Sub Ho Masa Kher Se
Unke Dar Par Jo Bistar Jama Kher Se
Unke Dar Par Jama Bistara Kher Se
Chein Se Hum RaHege Sada Kher Se
Yeh Uthi Moje Behere Ata Kher Se
Ya Woh Batt Te Karam Us Dawan Kher Se
Am He Unka Faize Sakha Kher Se
Unke Dar Par He Shaho Gada Kher Se
Ibtida Kherse Intiha Kher Se
Kam Apna Yahan Ho Gaya Kher Se
Sham Se Hum Ko Taibah Me Nind A Gayi
Zindagi Ka Sawera Huwa Kher Se
Khake Taibah Ko Pakar Hu Me Shadma
Mera Akhtar Darakhsha Huwa Kher Se
Safina e Bakhshish
Mere Allah Ke Nigar Salam
Daste Qudrat Ke Shahkar Salam
Dono Alam Ke Tajdar Salam
Jane Har Jano Jandar Salam
Khake Taibah Bane Meri Hasti
Arz Karta He Khaksar Salam
Phir Madine Me Kab Bulao Ge
Tum Se Kehta He Intizar Salam
Mujh Ko Zalim Pe Ikhtiyar Nahin
Tum To Rakhte Ho Ikhtiyar Salam
Khuld Kehti He Yeh Madine Se
Tujh Pe Ay Khuld Ki Bahar Salam
Apni Ulfat Ka Aisa Jam Pila
Jiska Barhta Rahe Khumar Salam
Darde Ulfat Me De Maza Aisa
Dil Na Pa`E Kabhi Qarar Salam
Teri Khatir Zalil Hona He
Meri Izzat Mere Waqar Salam
Apne Akhtar Ka Lo Salam Shaha
Tum Pe Ay Jan Ay Qarar Salam
Mustafae Zate Yakta Ap He
Yak Ne Jisko Yak Banaya Ap He
Eik Ne Shirkat Na Rakkhi Eik Me
Eik Ki Ijade Yakta Ap He
Ap Jaisa Koi Ho Sakta Nahin
Apni Har Khoobi Me Tanha Ap He
AbOGil Me Noor Ki Pehli Kiran
Jane Adam Jane Hawwa Ap He
Ap Ki Rooyat He Didare Khuda
Jalwah Gahe Haq Ta`Ala Ap He
Ay Gule Zaibae Gulzare Khalil
Jisne Har Gulshan Sajaya Ap He
Ap Ki Tal`At Ko Daykha Jan Di
Qabr Me Pohncha To Daykha Ap He
Apne Dar Tak Ap Mujh Ko Khinch Lein
Natawan Hoon Me Tawana Ap He
Ap Ki Tal`At Khuda Ka Aina
Jis Me Chamke Haq Ka Jalwah Ap He
Ap Ki Khatir Banaey Do Jahan
Apni Khatir Kiya Banaya Ap He
Ap Se Khud Ap Ka Sail Hoon Me
Jane Jan Meri Tamanna Ap He
Ap Se Pheli Jahan Me Roshni
Har Charaghe Alam Ara Ap He
Husne Awwal Ki Namoode Awwalin
Bazme Akhir Ka Ujala Ap He
Kyon Kahoon Bekas Hoon Me Bebas Hoon Me
Mere Yawar Mere Maula Ap He
Jan Tui Jana Qarare Jan Tui
Jane Jan Jane Masiha Ap He
Bardarat Amad Gada Behre Salam
Ho Bhala Akhtar Ka Data Ap He
Woh Chhai Ghata Badah Bare Madina
Pi`Ey Jhoom Kar Jan Nisare Madina
Woh Chamka Woh Chamka Minare Madina
Qarib A Rha He Dayare Madina
Naha Lein Gunahgar Abre Karam Me
Utha Dekhi`E Woh Ghubare Madina
Khuda Yad Farmae Saugande Taybah
Zahe Azmato Iftikhare Madina
Nahin Jachti Jannat Bhi Nazron Me Un Ke
Jinhein Bha Gaya Khar Zare Madina
Meri Jan Se Bhi Woh Nazdik Tar He
Woh Maulae Har Beqarare Madina
Karoon Fikr Kiya Me Ghame Zindagi Ke
Me Hun Bandae Gham Gusare Madina
Chala Kaun Khushboo Lutata Ke Ab Tak
He Mahki Hui Rahguzare Madina
Bula Akhtare Khasta Ko Apne Dar Par
Me Sadqe Tere Sheher Yare Madina
Safina e Bakhshish
Farishte Jis Ke Za`Ir Hein Madine Me Woh Turbat He
Yeh Woh Turbat He Jis Ko Arshe Azam Par Fazilat He
Bhala Dashte Madina Se Chaman Ko Koi Nisbat He
Madine Ki Faza Rashke Bahare Baghe Jannat He
Madina Aisa Gulshan He Jo Har Gulshan Ki Zinat He
Bahare Baghe Jannat Bhi Madine Ki Badolat He
Madina Gar Salamat He To Phir Sab Kuchh Salamat He
Khuda Rakkhe Madine Ko Usi Ka Dam Ghanimat He
Jo Mustaghni Huwa Un Se Muqaddar Us Ka KHebat He
Khalilullah Ko Hangame Mehshar Un Ki Hajat He
Hum Hi Kiya Haq Ta`Ala Ko Madine Se Mohabbat He
Madine Ki Mohabbat Unse Ulfat Ki Alamat He
Madina Chhor Kar Jannat Ki Khushboo Mil Nahin Sakti
Madine Se Mohabbat He To Jannat Ki Zamanat He
Yahan Bhi Un Ki Chalti He Wahan Bhi Un Ki Chalti He
Madina Rajdhani He Do Alam Par Hukoomat He
Zamin Par Woh Muhammad He Woh Ahmad Asmanon Me
Yahan Bhi Un Ka Charchah He Wahan Bhi Un Ki Mid`Hat He
Dikhade Ya Ilahi Woh Madina Kaisi Basti He
Barasta Har Ghari Ya Rab Jahan Barane Rahmat He
Gadagar He Jo Is Dar Ka Wohi Sultane Qismat He
Gada`I Is Dare Wala Ki Rashke Badshahat He
Madina Chhor Kar Saire Jinan Ki Kiya Zaroorat He
Woh Jannat Se Bhi Khushtar He Woh Jite Ji Ki Jannat He
Ghazab Hi Kar Diya Akhtar Madine Se Chale A`Ey
Yeh Woh Jannat He Jis Ki Arsh Walon Ko Bhi Hasrat He
Madina Chhor Kar Akhtar Bhala Kyon Ja`Ey Jannat Ko
Yeh Jannat Kiya Har Ik Nemat Madine Ki Badolat He
Safina e Bakhshish
Islam 360 – Quran – Hadith – Naat – Naat Lyrics – Books – Video – Articles
Welcome to the official main channel of Barkate Raza Show some love people by subscribing to our channel!
Safina e Bakhshish