Saare Hind Ka Hai Raja Mera Khwaja Maharaja Manqabat Lyrics

Saare Hind Ka Hai Raja Mera Khwaja Maharaja Manqabat Lyrics

 

Uske karam ke sab hai bhikari kya raja maharaja hai
Kursi par koi bhi baithe raja to mera Khwaja hai
Saare hind ka hai raja mera Khwaja maharaja

Haidar ka laadla hai wo Zahra ka laal hai
beshak mera Moin Muhammad ki aal hai
deewano ko kis baat ka aakhir malaal hai
raja ko apni parja ka pura khayaal hai

Har aankh chahati hai ziyaarat Moin ki
har dil me bas gayi hai mohabbat Moin ki
is sar zameene hind ke shaaho ne keh diya
mehshar talak rahegi huqumat Moin ki

Ha gareebo ki sadao ne bulaya hai tujhe
hind ka Shaha Muhammad ne banaya hai tujhe
kaise aayega koi harf huqumat pe teri
Panjatane Paak ne kursi pe bithaya hai tujhe

Pyaara hai Hasnain ka beshak Nabi ki aal hai
Sanjar wala Peer mera Sayyada ka laal hai
Mast mastan har haal me khushaal hai
Chistiya daaman jo pakde woh maala maal hai

Tu dar badar ki thokre ek baar kha ke dekh
Milta hai kya kisi se zaraa aazmaa ke dekh
Tu jin se mil raha hai ye saare ghulam hai
Raja ko dekhna hai to ajmer jaake dekh

Uske karam ke sab hai bhikari kya raja maharaja hai
Kursi par koi bhi baithe raja to mera Khwaja hai
Saare hind ka hai raja mera Khwaja maharaja

 

 

 

Sharing Is Caring:

Leave a Comment