Huzoor Ghaus E Azam Ki Shaan Mein Likha Gaya Yeh Nihayat Hi Shandaar Aur Ruhani Manqabat Ka Kalam Hai. Is Mubarak Kalam Mein Baghdad Ke Dulha Ki Azmat Aur Un Se Aqeedat Ka Khubsurat Izhaar Milta Hai. Aaiye Is Ruhani Aur Dilkash Kalam E Ghausia Ka Mutala Karte Hain.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Ye Daur Ghaus Ka Hai |
| Poet / Writer | Arif Raza |
| Category | Manqabat E Ghaus E Azam |
| Naatkhawan / Reciter | Alhaj Owais Raza Qadri |
| Book Name | Barkate Raza Naat Book |
Ye Daur Ghaus Ka Hai Lyrics In Roman
Ye Daur Ghaus Ka Hai Zamana Ghaus Ka
Phir Kyun Tarap Raha Hai Deewana Ghaus Ka
Nisbat Ki Kar Hifazat Mawt Aaye Ban Ke Rehmat
Bin Towbah Nah Marega Deewana Ghaus Ka
Noori Raza O Haamid Akhtar Ziya Ko Dekh
Ye Sab Chamak Rahe Hain Hai Chamkana Ghaus Ka
Tanha Woh Kutta Sheron Pe Bhari Dikhayi De
Ik Bar Jis Ne Kha Liya Hai Khana Ghaus Ka
Sarkaar Dushmanon Mein Use Kaise Chhordein
Jo Naam Le Raha Hai Rozana Ghaus Ka
Bolenge Dekh Kar Ke Sipahi Ye Hashr Mein
Chhero Na Iss Ko Ye Hai Mastana Ghaus Ka
Ye Ik Corona Kya Hai Hazaron Bhi Hon Agar
Apne Liye Hai Kaafi Shifa Khana Ghaus Ka
Arif Raza Ne Aisa Pilaya Hai Jaam E Ghaus
Duniya Pulaar Utthi Hai Deewana Ghaus Ka
Ye Daur Ghaus Ka Hai Lyrics In Hindi
ये दौर ग़ौस का है ज़माना ग़ौस का
फिर क्यूँ तड़प रहा है दीवाना ग़ौस का
निस्बत की कर हिफ़ाज़त मौत आए बन के रहमत
बिन तौबा ना मरेगा दीवाना ग़ौस का
नूरी रज़ा ओ हामिद अख़्तर ज़िया को देख
ये सब चमक रहे हैं है चमकाना ग़ौस का
तन्हा वो कुत्ता शेरों पे भारी दिखाई दे
इक बार जिस ने खा लिया है खाना ग़ौस का
सरकार दुश्मनों में उसे कैसे छोड़ दें
जो नाम ले रहा है रोज़ाना ग़ौस का
बोलेंगे देख कर के सिपाही ये हश्र में
छेड़ो ना इस को ये है मस्ताना ग़ौस का
ये इक कोरोना क्या है हज़ारों भी हों अगर
अपने लिए है काफी शिफ़ा ख़ाना ग़ौस का
आरिफ़ रज़ा ने ऐसा पिलाया है जाम ए ग़ौस
दुनिया पुलार उठी है दीवाना ग़ौस का
Ye Daur Ghaus Ka Hai Lyrics In Urdu
یہ دور غوث کا ہے زمانہ غوث کا
پھر کیوں تڑپ رہا ہے دیوانہ غوث کا
نسبت کی کر حفاظت موت آئے بن کے رحمت
بن توبہ نہ مرے گا دیوانہ غوث کا
نوری رضا و حامد اختر ضیاء کو دیکھ
یہ سب چمک رہے ہیں ہے چمکانا غوث کا
تنہا وہ کتا شیروں پہ بھاری دکھائی دے
اک بار جس نے کھا لیا ہے کھانا غوث کا
سرکار دشمنوں میں اسے کیسے چھوڑ دیں
جو نام لے رہا ہے روزانہ غوث کا
بولیں گے دیکھ کر کے سپاہی یہ حشر میں
چھیڑو نہ اس کو یہ ہے مستانہ غوث کا
یہ اک کرونا کیا ہے ہزاروں بھی ہوں اگر
اپنے لیے ہے کافی شفا خانہ غوث کا
عارف رضا نے ایسا پلایا ہے جامِ غوث
دنیا پلار اٹھی ہے دیوانہ غوث کا