Hazrat Sayyed Rizqullah Shah Qadri al-Jilani

Hazrat Sayyed Rizqullah Shah Qadri al-Jilani

 

Hazrat Sayyed Rizqullah Shah Qadri al-Jilani

 

Hazrat Sayyed Abdur Razzaaq urfe Rizqullāh Shaah Qaadri al-Jilani rahmatullāhi alaihi

 

Ṡaaliṡ Mohiy-ud-deen, Siraaj-ul-Auliya, Shehanshah e Kodinar.

Aap ki wilaadat 17 Rabi-ul-awwal 978 Hijri (1570 A.D.) me Jumeraat ke roz Hama me hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Rukn-ud-deen Ahmad bin Sayyed Haamid Mahmood Qaadri Hamawi aur waalida ka naam Bibi Ummal Fazl binte Sayyed Yousuf Zia-ud-deen hai.

Aap Hasani saadaat hain.
Aur Hazrat Ghauṡ-ul-aazam Shaikh Sayyed Mohiy-ud-deen Abdul Qaadir Jilani radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.

Aap ne apne waalid maajid se ta’aleem haasil ki.
Phir deegar masha’ikh e izaam se Hadeeṡ ki ta’aleem haasil ki.
20 saal ki umr me Aap Ilm e Hadeeṡ aur Fiq’h ke maahir hue.

Ek martaba Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne Baghdad jaane ki bashaarat farmaai. Aap Baghdad tashreef laaye to Huzoor Ghauṡe aazam Abdul Qaadir Jeelaani radiy-Allāhu ta’ala anhu ne bashaarat farmaai ke ‘Isha’at e Islaam ke liye mulk e Hind jaao.’ Aap ne arz kiya ‘Mujhe Hindustan me kis ilaaqe me jaana hai?’ Huzoor Ghauṡe aazam ne farmaaya ‘Gujarat jaao.’

Aap Ghauṡe aazam ke farmaan par Hind ki jaanib rawaana hue.
1000 Hjiri (1592 A.D.) me Ghogha (Bhavnagar, Gujarat) me tashreef laaye. Waha se phir Bhuj (Kutch) tashreef laaye. Yaha Aap ne apne bhai Sayyed Abdullāh Shaah ke ghar par qayaam farmaaya.

Kuch arse baad Aap Kodinar ke Mul Dwarka ke kinaare par tashreef laaye. Kodinar ko us waqt ‘Koli naal’ kaha jaata tha.
Aap apne musalle par baithkar samundar me safar kar rahe the. Ek jaadoogar ne Aap ko dekhkar aap ko rokne ke liye jaadoo kiya. Us ne baar baar koshish ki magar Aap ka musalla dooba nahi aur aap kinaare par tashreef laaye.
Aap ko pyaas lagi to aap ne logo se peene ke liye paani maanga. Magar kisi ne paani na diya. Aap me apne istemaal karda mishwaak se zameen ko khoda to samundar ke kinaare par hi meethe paani ka chashma jaari ho gaya. Ye chashma ‘Gilaani Vaav’ ke naam se mash’hoor hai.

Hazrat Sayyed Rizqullah Shah Qadri al-Jilani

Aap ne logo ko islaam ki daawat di magar kisi ne Aap ki baat na maani.
Kodinar me Krishna ka ek bada mandir tha. Aap ne jab namaaz ke liye azaan di to mandir ke sab but munh ke bal gir pade.
Aap ne us jaadoogar ko tauba karke islaam apnaane ke liye kaha. Wo na maana. Phir Aap ne sab logo ko jaadoogar ka saath chhodkar ma’abood e haqeeqi ki ibaadat karne ke liye farmaaya. Logo ne inkaar kiya.
Aap ne dua ki ke ‘Ya ilāhi! Is jaadoogar ki asli soorat zaahir farma de.’ Foran jaadoogar ke sar par 2 sing nikal aaye aur us ki shakl bad-soorat jaanwar ki maanind ho gai.

Yeh dekhkar sab log tauba karke musalman hue.

Aap ne Kodinar me sukoonat ikhtiyaar ki aur ek masjid ki ta’ameer ki.
Aur logo ko ta’aleem dete rahe aur faiz ata farmaate rahe.

Mughal baadshaah Shaah Jahaan ke wazeer Sa’adullāh Khan urfe Navrang Khan ki ladki bahot beemaar thi. Bahot saare tabeebo aur hakeemo se ilaaj karaaya magar koi faa’ida na hua. Shaah Jahaan ne Sa’adullāh Khan ko mashwara diya ke ‘Tum Gujarat jaate ho to Ahmedabad se Kodinar jaao aur waha aulaad e Ghaus e aazam Sayyed Rizqullāh Shaah se iltija karo.’ Sa’adullāh Khan Kodinar aaye aur aap ki baargaah me aakar tamaam baat bataakar dua ke liye iltija ki. Aap ne dua farmaai to ALLĀH ta’ala se wo ladki tandurast ho gai.

Is ke baad Sa’adullāh Khan ko bashaarat hui ke apni beti ka nikaah Rizqullāh Shaah se karo aur Hazrat ko bhi bashaarat hui ke Sa’adullāh Khan ki ladki se nikaah karo.

Baadshaah Shaah jahaan ne aAap ko batore nazraana chand gaanv ki jaagir ata ki. Is ke baad baadshaah Aurangzeb ne Aap ki aulaado ko majeed gaanv ki jaagir ata ki.

Aap ke 3 saahabzaade aur 2 saahabzaadiya hain.

Saahabzaade :
(1) Sayyed Ali,
(2) Sayyed Mohammad Qutub,
(3) Sayyed Mohammad Daawūd (jin ka mazaar Pakistan me hai).

Saahabzaadiya :
(1) Umme Kareem
(2) Umme Fazl.

Aap ka wisaal 4 Rabi-uṡ-ṡaani 1060 Hijri (1650 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Kodinar (Gujarat) me hai.

Aap ke aastaane par badi ta’adaad me log Shareer jinn wa aaseb, jaadoo tona, junoon aur deemaaghi beemaariyo se najaat paane ke liye aate hain aur faiz haasil karte hain.

14wi sadi Hijri me ek shakhs ko pet me bahot badi rasoli (tumor) hua aur us ka pet sujhne laga. Jab doctor is ka ilaaj na kar sake to use Hazrat ki dargaah par laakar rakha gaya. Kuchh din ke baad woh raat ko sokar utha to subah ko us tamaam takleef door ho gait hi. Logo ne jab us se puchha to us ne bataaya ke “Raat ko ek nooraani chehre waale buzurg tashreef laaye aur neend me hi mere pet ko apne haath se chira aur meri rasoli nikaalkar apna haath mubarak pet par phera to mera pet jaisa tha waisa ho gaya aur meri saari takleef door ho gai.”

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Sayyed Rizqullāh Shaah Qaadri al-Jeelaani rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allahu ta’ala anhu | Hazrat Abu Bakr Siddeeq Biography

Hazrat Abu Abdullah Mohiy-ud-deen Muhammad ibn Ali ibn Arabi | ibn Arabi Biography

Hazrat Maulana Noor-ud-deen Abdur Rahman Jaami | Noorud deen Abdur Rahman Jaami Biography

Subha Taibah Me Hui Bat’ta Hain Baada Noor Ka Lyrics

Subhe Baharaan Lyrics

Sharing Is Caring:

Leave a Comment