Hazrat Sayyed Bedam Shah Waarṡi Biography

Hazrat Sayyed Bedam Shah Waarṡi Biography

 

Hazrat Sayyed Bedam Shaah Waarṡi rahmatullāhi alaihi :

Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Siraaj-ush-Shoara.
************
Aap ki wilaadat 1293 Hijri (1876 A.D.) me Etawah me hui.
************
Aap ka asl naam Sayyed Ghulaam Husain hai.
Aap ke waalid ka naam Sayyed Anwar hai.
************
Aap ne apne watan Etawah me ta’aleem haasil ki.
Aap ko shaayari ka bahot shauq tha. Dusro ki ghazale gugunaaya karte the.
Phir Agra jaakar Hazrat Nisaar Akbarabadi se Shaayari ki ta’aleem haasil ki.
Phir Hazrat Sayyed Haaji Waaris Ali Shaah rahmatullāhi alaihi ki khidmat me rehkar Tasawwuf ki ta’aleem haasil ki.
************
Aap ne ‘Bedam’ takhllus ke saath bahot saari nazamen likhi hain.
Aap apni ghazale aur shaayari sab se pehle Aastaana e Waarsi par sunaate the.
Aap ka ek mash’hoor Sher :
‘Shaan kya murshid ki hai adna ko aala kar diya,
Tha jo weeraana use arshe moalla kar diya,
Dekhte hi dekhte main kya kahu kya kar diya,
Bas samajh lijiye ke ek qatre ko dariya kar diya.’
************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki likhi hui mash’hoor kitaaben :
(1) Phoolon ki chaadar (Hazrat Sayyed Haaji Waaris Ali Shaah rahmatullāhi alaihi ki Sawaaneh)
(2) Deewaan-e-Bedam : Karishma-e-Waarsi
(3) Kalaam-e-Bedam
(4) Mus’haf-e-Bedam : Kulliyaat.
************
Aap ka wisaal 9 Ramazaan 1355 Hijri (24 November 1936 A.D.) ko Husainganj, Lucknow me hua.
Aap ki wasiyat ke mutaabiq Aap ko Dewa laakar dafn kiya gaya.
Aap ka mazaar Shaah Uwais Qabrastan Dewa (Uttar Pradesh) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Sayyed Bedam Shaah Waarṡi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Sharing Is Caring:

Leave a Comment