Ajab Karam Shah E Wala Tabar Karte Hain Lyrics

 

Ajab karam sheh wala Tabbar karte hain
ke na umedon ko umeed waar karte hain

hamaray dil ki lagi bhi wohi bujha deingay
jo dam mein aag ko baagh o bahhar karte hain

jama ke dil mein safen hasrat o tamanna ki
nigah lutaf ka hum intzaar karte hain

mujhe fasrdgi bikhat ka alum kyun ho
woh aik dam mein khizaa ko bahhar karte hain

khuda sagan nabi se yeh mujh ko snwa day
hum apne kutton mein tujh ko shumaar karte hain

mulaika ko bhi hain kuch fazilatin hum par
ke paas rehtay hain tuwfay mazaar karte hain

jo khush naseeb yahan khaak dar pay baithy hain
juloos musnad Shahi se aar karte hain

ishara kar do to bad khilaaf ke jhonkay
abhi hamaray safine ko paar karte hain

tumhare dar ke gaddaon ki shaan aali hai
woh jis ko chahtay hain Tajdar karte hain

gadda gadda hi hai woh to kya chahay adab
barray barray tairay dar ka Waqar karte hain

tamam Khalq ko Manzoor hai Raza jin ki
Raza huzoor ki woh ikhtiyar karte hain

suna ke Wasf rukh pak andaleeb ko hum
Rahin aamad fasal bahhar karte hain

hwa khilaaf ho chakraay nao kya gham hai
woh aik aan mein bairay ko paar karte hain

anaa laha se woh bazaar kasam pursan mein
tasali a dil be ikhtiyar karte hain

banai pusht nah kaaba ki un ke ghar ki taraf
jinhein khabar hai woh aisa Waqar karte hain

kabhi woh tajwarany zamana kar nah saken
jo kaam aap ke khidmat guzaar karte hain

hawaaye daman janan ke jaafiza jhonkay
khizaa rsidon ko baagh o bahhar karte hain

sagan koye nabi ke naseeb par qrban
parre hue sir reh Iftikhar karte hain

koi yeh pouchye marey dil se meri hasrat se
ke tootay haal mein kya ghamgusaar karte hain

woh un ke dar ke faqeero se kyun nahi kehte
jo shikwa e sitam rozgaar karte hain

tumhare hijar ke sdmon ki taab kis ko hai
yeh chob khushk ko bhi be qarar karte hain

kisi bulaa se puhanche kis terhan asaib
jo tairay naam se apna hisaar karte hain

yeh naram dil hain woh pyare ke sakhtiyon par bhi
ado ke haq mein duaa baar baar karte hain

kashod uqda mushkil ki kyun mein fikar karoon
yeh kaam to marey tayyiba ke khaar karte hain

zameen koye nabi ke jo letay hain bosay
fareshtgany fallak un se pyar karte hain

tumhare dar pay gadda bhi hain haath phelaaye
tumhen se arz duaa shehar yaar karte hain

kisay hai deed jamal kkhuda pasand ki taab
woh poooray jalwey kahan aashkaar karte hain

hamaray nakhl tamanna ko bhi woh phal deingay
darakhat khushk ko jo bardar karte hain

parre hain khawab taghaful mein hum magar Mooli
terhan terhan se hamein hooshiyar karte hain

suna nah martay hue aaj taq kisi nay unhein
jo apne jaan o dil un par Nisar karte hain

unhein ka jalva sir bazm dekhte hain patang
unhein ki yaad chaman mein hazaar karte hain

marey kareem nah aho ko qaid dekh sakay
abs aseer alum inteshaar karte hain

jo zer-e atay hain paye huzoor ke neechay
chamak ke mohar ko woh sharmsaar karte hain

jo moay pak ko rakhtay hain apni topi mein
shujaatin woh dam kaarzar karte hain

jidhar woh atay hain ab is mein dil hon ya rahein
mehak se gesuwoon ki mushkabar karte hain

husn ki jaan ho is wusat karam pay Nisar
ke ik Jahan ko umeed waar karte hain

 

 

Sharing Is Caring:

Leave a Comment